शुक्रवार, 9 अक्टूबर 2009

yu to aksar aasma niharti thi
chand bhi dekhati thi
hamesa khamosh sa hi laga
aadatan aaj bhi nazar aasama ki or ud gaee
bhul gaee aaj shard purnima hai
chand ko nihar bedi
phir apni galti ka ahssas huwa
kyu bahar nikali
aaj ki raat to khass logo ke liye hoti hai
aaj chand se chadani saath amrat barsati hai
mene ye kya gazab kiya
amar hone ka abhishaap apne sar kyu le liya
aaj na bahar nikhalti
nikalti to chand ko na niharati
kam se kam is jindagi ko jine ke abhishaaph se to bachati

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें